Saturday, August 21, 2010

जैन स्तुति - प्रभु पतित पावन (Jain Stuti - Prabhu Patit Paavan)

This is a Jain prayer written by Budhjan (Jaipur, 1773-1838), I've tried to display in both English & Hindi and its meaning as well ... If you find any error or any kind of discrepancy please let me know by placing comment or directly email me to jainankit11@gmail.com

प्रभु पतित पावन मैं अपावन, चरण आयो सरण जी ।
यों विरद आप निहार स्वामी, मेट जामन मरण जी ॥ (१)
तुम ना पिछान्यो आन मान्यो, देव विविध प्रकार जी ।
या बुद्धि सेती निज ना जान्यो, भ्रम गिन्यो हितकार जी ॥ (२)
भव विकट वन में करम बैरी, ज्ञान धन मेरो हरयो ।
तब इष्ट भूल्यो भ्रष्ट होए, अनिष्ट गति धरतो फिरयो ॥ (३)
धन्य घड़ी यो धन्य दिवस यो ही, धन्य जनम मेरो भयो ।
अब भाग्य मेरो उदय आयो, दरश प्रभु जी को लाख लयो ॥ (४)
छवि वीतरागी नगन मुद्रा, दृष्टि नासा पै धरें ।
वसु प्रातिहार्य अनंत गुण जुट, कोटि रवि छवि को धरें ॥ (५)
मिट गयो तिमिर मिथ्यात मेरो, उदय रवि आतम भयो ।
मो उर हरष एसो भयो, मनु रंक चिंतामणि लयो ॥ (६)
मैं हाथ जोड़ नवाय मस्तक, वीनऊँ तुम चरण जी ।
सर्वोत्कृष्ट त्रिलोकपति जिन, सुनहु तारण तरन जी ॥ (७)
जाचूँ नहीं सुरवास पुनि, नर राज परिजन साथ जी ।
"बुध" जाचहूँ तुम भक्ति भव भव, दीजिये शिवनाथ जी ॥ (८)

prabhu patit paavan mai.n apaavan, charaN aayo sharaN jii.
Prabhu! aap patit(gira huya, apavitra) ko pavitra karne vale hain. Aur mai apavitra hu. Aapke charno ki sharan mei aaya hu
yo virad aap nihaar svaamii, meT jaaman maraN jii.. (1)
aap to jeev ko janam-maran se mukti dilwane wale hain
tum naa pichhaanyo aan maanyo, dev vividh prakaar jii.
Dev/bhagwan bahut prakar ke hain .. Aapko maine pehchana nahi, aur anya dev ko manta raha
yaa buddhi setii nij n jaanyo, bhram ginyo hitakaar jii.. (2)
apni aatma ko na jana .. anya cheejo ko laabhkaari mana
bhav vikaT van me.n karam bairii, GYaan dhan mero haryo.
ghane jangal jaise is sansaar mei karm dushman hai .. jisne gyan ko har liya hai .. dhak diya hai
tab ishhT bhuulyo bhrashhT hoy, anishhT gati dharato phiryo.. (3)
aise mei pujya ko bhoolkar brasht hokar .. anisht hua aur gatiyon mei phirta raha
dhan gha.Dii yo dhan divas yo hii, dhan janam mero bhayo.
aha! aisi dhanya ghadi .. dhanya divas .. din aaya hai .. dhanya janam mera hua
ab bhaag mero uday aayo, darash prabhu jii ko lakh layo.. (4)
ab jaake bhagya ka uday hua .. aap prabhu ke dharshan hue
chhavi viitaraagii nagan mudraa, dR^ishhTi naasaa pai dharai.n.
aapki chhavi viitaraagi hai .. nagan mudra hai .. aur drishti naak par rehti hai .. yani ki kahin aur nhi dekhte .. apne mei vileen rehtein hain
vasu pratihaary anant guN jut, koTi ravi chhavi ko dharai.n.. (5)
8 pratiharya (diya dhwani, chanvar, etc.), anant gun se sussajit, karono suraj jitni chhavi hai aapki
miT gayo timir mithyaat mero, uday ravi aatam bhayo.
mere mithyaat mit gaye aur meri aatma ka uday hua
mo ur harashh eso bhayo, manu ra.nk chi.ntaamaNi layo.. (6)
aisa harsh hua .. mano garib ko chintamani ratna mil gaya ho
mai.n haath jo.D navaay mastak, biina{uu}.N tuv charaNajii.
aapko haath jod kar mastak jhukakar namaskaar karta hu .. aapke charno mei vinti karta hu
sarvotkR^ishhT trilokapati jin, sunahu taaraN taraNajii.. (7)
3 lok mei sarvotrakrisht (sabse uchch) .. jinko sunne se bhav (janam-maran) mit jate hai
jaachuu.n nahii.n suravaas puni, nar raaj parijan saathajii.
mai aapse swarag, manushya, raaj, pariwaar ke saath ki yaachna nahi karta
"budh" jaachahuu.N tuv bhakti bhav\- bhav, diijiye shivanaathajii.. (8)
jitne bhi bhav ho unme aapki bhakti ki yachna karta hu .. aur moksha prapti diijiye

14 comments:

Megi said...

nice post...

Jai Jinendra (jinhone apni indriyo pe vijay pa li ho)

SKYISH said...

Nice, jai jinendra.

Unknown said...

Very Nice.Jai Jinendra

Unknown said...

I love this because whenever I said this to my family that please bring me the meaning of this jain Stuti.They said they do not know. But you give me answer.

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

Thank you

Anamika said...

Bahut khoobsurat.. Aapka bahut bahut aabhar..

Ankit said...

Thanks very nice explanation 👍.

Unknown said...

Thank u very nice...when I asked my son to remember the stavan...he said I don't understand the meanning.(neither I).why n how can I remember it..but now he will do it..

आदित्य जैन said...

आप मुझे बुद्धि सेती का अर्थ समझाये।

Unknown said...

Thank you. Very Helpful and I will be able to relate more next time I say it.

Adv Alok Jain said...

Jai Jinendra

Ms. Jain said...

Thaya dil se dhanyawaad aapka! Bina aarth kisi bhi cheez ka asal mulya ki samaj aana katin hai.

Unknown said...

9909438773